Un Authorized Construction Rokne Wale Khud Kiye Baithe Hain Un Authorized Qabze
Abhi 30 May, 2021 Ko CM Haryana Aadarniya Shri Manohar Lal Khattar Ne Jan Kalyaan Yojna Mein Ek Ghoshna Ki Thi Ke - Shahari Sthaaniya Nikaay Ke Antargat Pichhle 20 Saal Se Lease ya Kiraaye Par Rah Rahe Logon Ko Uska Maalikaana Haq Diya Jaayega.
Magar Aalam Ye Hai Ke Municipal Corporation Gurgaon (MCG) Ke Paas Aisa Koi Record Hi Nahin Hai Ke Uski Limits Mein Kaun-Kaun Si Zameen MCG Ki Malkiyat Mein Hain.
Maine 29.04.2021 Ko Application No. 20210429122381 Ke Tahat MCG Mein Ek RTI Lagaa Kar MCG Ke Tahat Kul Zameen Ki Details Maangi Thi.
Jis Ka 30 Din Guzarne Ke Ba-Wajood MCG Ne Koi Jawaab Nahin Diya Hai. MCG Ki website par Ja Kar Jab Maine Jawaab Dhoondhne Ki Koshish Ki To, Wahaan Ye Information Upload Thi.
Yaani Ke MCG Ke Paas Apni Malkiyat Ka Koi Record Nahin Hai.
Haqueeqat To Ye Hai Ke MCG Ke Paas Kisi Zameen Ka Koi Maalikaana Haq Nahin Hai. MCG Ne Shahar Mein Aisi Zameen Jin Ka Wali-Vaaris Nazar Nahin Aa Rahaa Tha, Un Par Un-Authorized Kabza Kar Liya. Aur Un Zameen Ki Maalik Ban Kar Baith Gayi. (Kuchh Aisa Hi Haal Pradesh Ki Doosri Committees Ka Bhi Hoga.)
Yahaan Tak Ki Shahar Mein Maujood MCG Ka Office Bhi MCG Ki Propety Nahin Hai. Maine Civil Courts, Gurgaon Mein Is Maamle Mein Kuchh Case File Kar Rakhe Hain. Magar MCG Har Baar Koi Na Koi Bahaana Banaa Kar Date Le Leti Hai. Ek Case Mein Judge Saahab Ne MCG Par Jawaab Na Dene Ki Wajah Se Zurmaana Bhi Lagaa Diya Tha.
Maine CM Haryana Shri Khattar Ji Ke Tweet Par Bhi Tweet Kar Ke Ye Sawaal Khadaa Kiya Tha, Ke MCG Ya Doosre Shahron Ki Municipal Committee ya Corporation Bhi Jab Khudh Un-Authorized Qabze Kiye Baithe Hain, To Wo Aam Janta Ko Un Zameen Ka Maalikana Haq Kis Capacity Mein De Sakengi.
Sawaal Ye Hai Ke Jab Khud MCG Un Zameen Ki Khud Maalik Nahin Hai, To Aage Logon Ka Uska Qabza Kis Capacity Mein Degi. Ek Un-Authorized Maalik Doose Ko Us Zameen Ka Un-Authorized Qabza Kaise De Sakta Hai.